Biography Shahbaz e Deccan Muhammad Mujeeb Ali Qadri Razvi Noori تعارف شہباز دکن مفتی مجیب علی رضوی

 WILADAT (BIRTH)

Huzoor Shahbaz e Deccan Hazrat Allama Qari Alhaj Ash'Shah Mufti Muhammad Mujeeb Ali Qadri Razvi Noori Rifaa’i Daamat Barkatuhumul A’aliya 22 Rajab 1374 H, Mutabiq 16 March 1955, Baroz Wednesday, Shehr E Ilm O Fann Hyderabad Deccan Me Paida Hue.



TA’LEEM O TARBIYAT

Ibtedaayi Ta’leem Aap Shehr E Auliya Wa Gehwaara e Qadriyat Hyderabad Deccan Me Haasil Ki, Ta’leem O Tarbiyat Aur Akhlaaq O Amal Ki A’ala Manaazil Taye Karaane Me Khususan Aap Ke Waalid E Mohtaram Ka Ehem Kirdaar Raha Hai, Aap Ke Waalid e Mohtaram Hazrat Alhaj Qari Muhammad Habeeb Ali Sahab Qibla Alaihirrahma Apne Waqt Ke Behtareen Qari E Quran The Aur Aap Bhi Huzoor Shahbaz E Deccan Ki Qir’at E Kalaam E Paak Is Baat Ki Shaahid Hai, Yahi Aawaaz Aur Andaaz Aap Ke Nabeera Ya’ani Shahzada E Huzoor Shahbaz E Deccan Hazrat Maulana Qari Owais Raza Qadri Atalullah Umrah Ko Waarisatan Naseeb Hua. Aap Tahseel E Ilm Ki Gharz Se Maah E Zilhajjah 1968 Me Jami’a Haamidiya, Jam’a Masjid Sambhal, Muradabad, Uttar Pradesh Tashreef Le Gaye, Jahan Poori Mehnat O Lagan Ke Saath Paanch Saal Husool E Ilm Me Masroof Rahe, Aur Maah E Sha’baan 1973 Me Jaleelul Qadr Ulama E Izaam Ke Muqaddas Haathaun Se Dastaar E Fazeelat Se Nawaaze Gaye.


Aur Aap Ke Khaas Asaateza E Kiraam Ye Hain: Hazrat Allama Hamid Hussain Sahab Qibla Alaihirrahma, Hazrat Allama Maulana Farooq Ashraf Sahab Alaihirrahma, Shaikhul Hadees Hazrat Allama Ashshah Akhtar Hussain Sahab Merathwi Alaihirrahma, In Ke Alawa Deegar Asaateza E Kiraam ki Bargah Se Bhi Aap Ne Jauhar E Ilm O Fann Haasil Kiya.


BAY’AT O KHILAFAT

Daur E Taalib E ilmi Me Aap Shehr E Bareli Shareef Tashreef Le Gaye, Wahan 14 Saal Ki Umr 1969 Me Taajdaar E Ahlesunnat, Arif Billah, Murshid E Barhaq, Shahzada E A’alahazrat, Sarkar Mufti Azam E Hind Hazrat Allama Mustafa Raza Khan Alahirrahma Ke Dast E Haq Par Sharf E Bay’at Haasil Ki.


Murshid E Barhaq Shahzada E Alahazrat Huzoor Mufti E Azam Alaihirrahma Ne Aap Ko 1981 Me Khilafat O Ijazat Se Sarfaraaz Farmaaya.Waaris E Uloom E Alahazrat Huzoor Tajush Sharee’a Nabeera E Alahazrat Hazrat Allama Akhtar Raza Khan Qadri Barkaati Azhari Barelvi Alaihirrahma Ne Bhi Sarzameen E Hyderabad Ki Tareekhi Makkah Masjid Me Mun’aqid Do Roza Conference 1986 Me Silsila E Qadriya Razviya Ki Ijazat O Khilafat Se Nawaaza.


Neez Shahzada E Ghousul Wara Hazrat Sayyid Shah Mahmood Hussaini Urf Peer Baghdaadi Sahab Qibla Daamzillahul A’ali Huzoor Shahbaz E Deccan Ki Khidmaat E Deeni Se Mutaasir Ho Kar Aap Ko Silsila E Rifaaiya Ki Ijazat O Khilafat Ata Ki.


KHIDMAAT E JALEELA

A’ala Ta’leem Se Faraaghat Ke Baad 1973 Me Sarzameen E Hyderabad Faizan E Sarkar Mufti E Azam Alaihirrahma Liye Tashreef Laye Aur Ahlesunnat Wa Jama’at (Jise Aaj Maslak E A’alahazrat Ke Naam Se Jaana Jaata Hai) Ki Tarweej O Isha’at Me Hamatan Masroof E Amal Rahe. Fann E Khitaabat Me Rab Tabaarak Wa Ta’ala Ne Aap Ko Woh Malka Ata Farmaya Ke Saari Duniya Aap Ki Khitaabat Ki Shahra Hai, Aur Aap Ki Taqaareer Par Aise Muassar, Dil Nasheen Aur Umba Asloob Hoti Hai Ke Jis Se Sama’een Ke Quloob O Azhaan Munawwar O Mujalla Ho Jaate Hain, Aur Unke Dil Ki Duniya Badal Jaati Hai, Hazaaraun Aap Ke Taqareer Ko Sun Kar Raah E Raast Ekhtiyaar Kiye, Hazaaraun Apne Bad Aqeedgi Aur Bad Mazhabi Se Tauba Kiye, Hazaaraun Dilaun Me Ishq E Mustafa Ki Shama Ko Jalaaya.


Jahan Aap Baa Amal Aalim E Deen Hain, Wahin Aap Peer E Kaamil Bhi Hain, Hazaaraun Aap Ke Daaman E Iraadat Wa Bay’at Se Waabasta Ho Kar Silsila E Nooriya Razaviya Qadriya Me Daakhil Hue, Aaj Telangana, Andhra Pradesh Aur Deegar Ilaaqaun Me Kaseer Ta’daad Me Aap Ke Mureedeen Wa Mo’taqideen Hain.


Neez Qaum O Millat Ke Eemaan Ki Hifazat, Ta’leemaat A’ala Ko Aam O Taam Karne Aur Da’eeyaan E Deen Aur Muballigheen E Islam Ki Jama’at Taiyaar Karne Ki Gharz Se Kayi Ek Madaaris Aur Khususan Markaz E Ahlesunnat Wa Jamaat Ka Qayaam Amal Me Laaya, Is Ke Alawa Deegar Khidmaat E Deeniya Hain Jis Ki Tafsel Kuch Is Tarah Hai:


Darul Uloom Faiz E Raza, Moinabad, Ranga Reddy

Darul Uloom Faiz E Raza, Shaheen Nagar, Hyderabad

Madrasatul Banaat Fatima Jaan, Shaheen Nagar, Hyderabad

Markaz E Ahlesunnat Wa Jamaat, Hyderabad

Raza Jaama Masjid

Allah, Rasool, Ghous, Khaja, Raza (ARGKR) Trust (Chairman)

Is Ke Alawa Sheher Aur Beroon E Sheher Ke Kayi Madaaris Aur Tanzeemein Aap Ki Kaamyaab Wa Mukhlisaana Sarparasti Me Apna Deeni, Ilmi, Da’wati Aur Tableeghi Kaam Anjaam De Rahi Hain.


Books:

Tableeghi Jamat Ka X-Ray Report


Visal:

25 Zee Quida 1442 Hijri Bamutabiq 7 July 2021 fajar Ke Waqt


 

Previous Post Next Post